Shaan-Dhoom Taana歌曲免费下载

《Shaan-Dhoom Taana》歌曲详情

Kaise nainon se nain milaoon sajna

Kaise main aise na ghabraoon sajna

Kaise… aaye na aise mohe laaj sajna

Chhuna na dekho mohe aaj sajna

Mrignaini tu na jaani

Prem kitna mere man mein hai

Yeh bechaini maangti hai

Roop jo tere yauvan mein hai

Tera phool sa hai ang tere ang mein hai rang

Tere rang ke main sang goriye

Tere rang mein hai roop tere roop mein hai dhoop

Teri dhoop hai anoop goriye

Sajna se kahe aaye laaj sajni

Chhune de ang mohe aaj sajni

Jhalki jhalki phirti hoon

Chhalki chhalki si phirti hoon

Jism yeh mera koi jaam hai jaise

Nazar milati hoon khwab mein sama jaati hoon

Dil mein bas jaana mera kaam hai jaise

Arre dil me mere bas ja maine roka kab hai

Lekin kya armaan hai mera yeh toh samjhaane de

Sajna se kahe aaye laaj sajni

Chhune de ang mohe aaj sajni

Kaise banjaara man ki baat mein aaye

Kaise ek raja ko manmeet banaye

Kaise…pehnoon main pyar ka yeh taaj sajna

Karte ho tum kyun dil pe raaj sajna

Mrignaini tu na jaani

Prem kitna mere man mein hai

Yeh bechaini maangti hai

Roop jo tere yauvan mein hai

Mere meet tere geet tere geet mein hai preet

Teri preet meri jeet goriye

Meri jeet mein bhi haar meri haar mein hai pyar

Mere pyar mein iqraar goriye

Bhool ke saare kaam-kaaj sajni

Chhune de ang mohe aaj sajni

Aaye na aise mohe laaj sajna

Chhuna na dekho mohe aaj sajna

下载地址:

此为隐藏内容,需人机验证后查看下载!