HeartzR-Chalo Chhodo歌曲免费下载

《HeartzR-Chalo Chhodo》歌曲详情

Banjar zameen deke kehte seench lo

Rona aa raha hai aankhein meech lo

Woh baitha jo hai kuwe ke kinare pyasa

Woh doob raha koi usey kheench lo

Jee ke roz thaka hoon main

Kabhi tumhe zakham dikhaun main

Jyada nahi itna tum keh do bas

Ke aaja tujhe gale se lagaun main

Parde ka rakhta lehaz main

Do chehre walon se wakif nahi

Duhai duhai lagai khuda se salamati ki

Par main haafiz nahi

Har harf mein hai sifar kyu?

Bekadaron ki kadar kyu?

Chhoone talak nahi denge woh chaukhat

Toh dhundhte rehte ho ghar kyu?

Mauka parast woh dost hi nahi

Chehra badalne mein force hi nahi

Jab jab tha usko haal bataya

Na, uski aankhon mein rosh thi nahi

Ab bina uske bhi chal lu main

Aur thoda khud par hi haslu main

Aaj ek jaam bhi bhar lu main

Baat thodi teri bhi kar lu main

Tu upar hai rehti and I'm down

Par lat tujh se aisi ke kya bataun

Jaise main daldal mein taihar raha hoon

Na bahar aaya jaata, na doob raha hoon

Jaise ulkapind awara ghoom raha hoon

Tu afeem thi toh dhuwan ab main phoonk raha hoon

Teri Eid thi toh chaand ab main todta hoon

Ab main nashe mein hoon kuchh bhi bolta hoon

Patthar hai woh, uska dil sakht?

Ya aane ka mila nahi usey waqt?

Din theek, aati mujhe yaad tab

Doobta andhere mein ye shehar jab

Bahane hain hazaar banane ko

Taraane hain hazaar gun-gunane ko

Man phir bhi chaahe wahi gaane ko

Jo usey raazi kare wapas aane ko

Khair, kaise ho tum aur tumhare dost?

Nahi hoon main yaad? Chalo jaane do

Sawaal ek puchhu aap chaahe toh

Kya padega farak hum mar jaaye toh?

Sab… chalo chhodo

下载地址:

此为隐藏内容,需人机验证后查看下载!