Mimi Teddy-So Ja Pagle歌曲免费下载

《Mimi Teddy-So Ja Pagle》歌曲详情

作词 : Amitava Sarkar

作曲 : Amitava Sarkar

Hmmm hmmm hmmm

Raat ho gayi hai so ja pagle

Ullu jaisa jaagna bandh kar

So ja bey

Sota kyun nahi bey saley

So ja pagle

Dark circles pad jayenge

Ankhiyon mein kale kale

Raat hogayi hai so ja pagle

Ullu jaisa taakna bandh kar

So ja bey

So ja re pagle

Early to bed early to rise

Keeps you tandurust

Raat raat bhar jaag ke banda

Hojata hai sust

Budhape se pehle hoga

Digestion problems

Baat baat pe teri fir chee

Hojayegi phus

Jo bhi teri tragedy hai

Din mein sochna

Yeh raat bani hai

Taki tu thak kar hojaye dhus

Der hogayi hai soja pagle

Electricity phoonkna bandh kar

So ja bey

Hmmm hmmm hmmm

Down ho rahi hai teri

Ankhon ka shutter

Chaukidaar banna hai toh

Jaagna practice kar

Kaunsa tujhe karna hai koi

Train ka safar

Takiya leke seedha ab

Pakad tu bistar

Pet ke bal mat sona

Gande dreams aayenge

Lights off karke odhle

Apna favourite chaddar

Raat hogayi hai so ja pagle

Ullu jaisa ghurna bandh kar

So ja bey

Sota kyun nahi bey saley

So ja pagle

Susu karke kundi lagake

Body ko bed mein phaila le

Raat hogayi hai soja pagle

Ullu bhi ab so gaya hai

So ja bey

下载地址:

此为隐藏内容,需人机验证后查看下载!